Thursday, September 6, 2007

Saraab


Ek din highway pe jab
ek baadal ke tukde ki farmaish ki thi tumse

tumne koi jawaab tak nahi diyaa tha
main gusse mein muh fulaaye poore raatse baithi rahi thi
aur tumne manaayaa tak nahi tha
bas drive karte karte beech beech mein
mujhe dekh muskurate rahe the

ghar aake ek sheeshe ke martbaan mein
dhoop sulgaakar mujhe de diya tha

main kitnaa bigdi thi tum par uss din
aur tumne kahaa tha,"Baadal maangaa tha na, ye lo!"
main uss martbaan ko hairaani se dekhti reh gayi thi.
aaj maine ussi badal ke tukde se tumhaari farmaaish ki to
ussne mujhe tumhaari yaadein uss martabaan mein sulgaake de di
lagtaa hai meri tamaam khwaahishon-o-khwaab ki taamir mein ek saraab hi hai.....

No comments: